Tuesday, July 3, 2007

Mumbai ki Baarish...

Dil tha mera kala samandar sa,
Sannata tha isme bhayankar sa..
Lekin aaj is samandar se ubharta
attahaas ka tufaan nazar aata hai..
seene ke kisi kone me chhupa lun
itna chhota....aasman nazar aata hai

Aaj subah se ek khushi bewajah hai,
Ek chanchal bechaini naache hriday ke satah pe
Uchhalti, Khelti....Taaron se jhoolti, Sheeshon pe fisalti
boondon me natkhat muskaan nazar aata hai
seene ke kisi kone me chhupa lun
itna chhota....aasman nazar aata hai

Ye chhaaton ko katoriyan banati purzor hawa,
Pyaari si ladkiyon ke baalon me ulajhti munh-zor hawa..
Rahgeeron ke beech daudti,
chhedti,
Hawa nahin, ek bauna shaitaan nazar aata hai
seene ke kisi kone me chhupa lun
itna chhota...aasman nazar aata hai

Yeh geeli barsaati subah
Yeh meethi khushi bewajah
Yeh Khelti boondein natkhat
Yeh daudti hawa sarpat
Mumbai ki barish ka rutba
alishaan nazar aata hai
Yeh faila seena, yeh chhota asman,
kisi ka....ehsaan nazar aata hai

No comments: